Chehre Lyrics - MC Square

Chehre Lyrics - MC Square is a new famous Hindi RAP song. Song of Chehre lyrics started by the line in English pronunciation is Milte thhe chehre joh kaafi woh dikhte hain aaj bhi. This song released on the date of 9th October, 2022. Song of Chehre lyrics sung by MC Square. This song written also by MC Square. Song of Chehre lyrics got near by 2 million visitor in YouTube after released this song. This song music composition by MC Square. Chehre song firstly sung on the program of Hustle 2.0.


Chehre song got a music label which name is KaanPhod Music. This song sung in the language of Hindi. Chehre song first published on the YouTube in the channel of KaanPhod Music. So, let's know the song of Chehre lyrics and also play the music video in below. You can also know MC Square all song lyrics here.









































Chehre Song Information
Song NameChehre
SingerMC Square
SongwriterMC Square
LanguageHindi
MusicMC Square
Released DateOctober 09, 2022
LabelKaanPhod Music
ProgramHustle 2.0

Chehre Lyrics - MC Square


Milte thhe chehre joh kaafi woh dikhte hain aaj bhi
Paap ya paapi tha kaun main dhoondun bas saadgi
Tasveer koi khaas si
Aksar hee nazron ke saami bas dhundhli si yaad ki


Tha woh kaun shayad yeh yaad nahi
Bas yaad hain odhi thi usne bhi dhun koi saaz ki
Kabhi dikhte hain phone ki feed mein
Kabhi dikhte hain raahon mein bheed mein


Kabhi aankhon mein dikhte hain bas
Jab sunta hoon dhun koi jaani si peedh mein
Ab aksar miltey nahi hain woh
Main unka jinke nahi hain woh


Kabhi taire thhe khushi ki lehron mein saath
Main dooba ab tinke nahi hain woh
Chehra tha ek woh gaon ya shahar thha na hain maloom mujhe
Ghadi mein tiki thhi nazre kya pahar thha na hain maloom mujhe


Subah ke sapne thhe bag me
Shaam ko bojh ke qaid mein
Maathe ki shikan shayad kehti thhi thahar ja na hain maloom mujhe
Ek ki 10 ki aayu 20 me raavan woh chehra jatayu


30 mein pohuncha aur dekha phir aaina
Dikhe bas ret aur sehra ki vaayu
Phir aayi umar pachaas
Chehre pe likha hataash


Abhi bhi jaari talaash
Aankhon mein dikha bas kaash
Milte thhe chehre joh kaafi woh dikhte hain aaj bhi
Paap ya paapi thha kaun main dhoondun bas saadgi


Tasveer koi khaas si
Aksar hee nazron ke saami bas dhundhli si yaad ki
Tha woh kaun shayad yeh yaad nahi
Bas yaad hain odhi thhi usne bhi dhun koi saaz ki


Yeh dekho aurat ka chehra koi gharelu koi jhujhaaru
Koi khush hain khet ki medhon pe koi kahe main samaj sudhaarun
Koi nudes se views mein phansa chaahe koi kureet ke kapde utaarun
Koi chain se marna chaahe koi kahe gadhe murde ukhaadun


Dekhe hain naadaani chehre
Dekhe hain manmaani chehre
Dekhe hain insaani chehre
Dekhe hain kayi gyaani chehre


Alfaazon ke chehre kuch seedhe kuch gehre
Takazon ke chehre kuch behte kuch thahre
Awaazon ke chehron pe siyaasi pehre
Riwaazon ke chehron pe samaaji behre


Dekha bhagwan ka chehra
Gita ka chehra quran ka chehra
Aankhon pe patti hain chehron ki
Koi subah ka chehra koi shaam ka chehra


Koi toh naam ka chehra
Kisi ka saathi hain kisme magan
Kis se hain pyar aur kis se jalan
Kya aisa hain kaam ka chehra?


Milte thhe chehre joh kaafi woh dikhte hain aaj bhi
Paap ya paapi tha kaun main dhoondu bas saadgi
Tasveer koi khaas si
Aksar hee nazron ke saami bas dhundhli si yaad ki


Tha woh kaun shayad yeh yaad nahi
Bas yaad hain odhi thhi usne bhi dhun koi saaz ki



Previous Post
Next Post
Related Posts